This blog is to declare that I am blessed by the love of Jesus, the Lord my God and I want to witness His love before you. Thanks for your valuable time for visiting this site... God bless you!
Friday, December 17, 2010
Aankhon ki putli samaan...
This one is from the month of August, in the year 2007...
This is yet another testimonial for His care and love in our lives...
------------------------------------
Aankhon ki putli samaan,
Rakhtha he woh mera dhyaan. (2)
Lo mein karta bayaan,
Yeshu masih he mahaan. (2)
Aao gaaye milkar Halleluijah,
Hosanna bole milkar Halleluijah ... (2)
Uske haathon ki ham hein srishti,
Hum par rehti he uski drishti. (2)
Pal Pal woh rakhtha he khayaal,
Yeshu ki na koi misaal. (2)
Aao gaaye milkar Halleluijah... (2)
Changa karta he woh hamaare rog,
Bandhan se mukti paathe uske log. (2)
Uska he naa koi jawaab,
Sach karta he woh saare khwaab. (2)
Aao gaaye milkar Halleluijah... (2)
Sunday, December 12, 2010
De dhanyavaad...
This song is a testimonial that asserts God's ever present helping hand during the times of troubles and tears...
Jesus Christ is the best friend one could have. Lets Thank him!!!
----------------------------------------------------------------
De dhanyavaad, prabhu ko mere mann,
Jo kuch mujh mein he, usko dhanya kahe. (2)
Aansuon se aankhein jab ho nam,
Gar tere paas sahara ho kam... (2)
Tho yaad kar Yeshu masih ko,
Aansuon ko tere woh kuppi mein rakhtha he.
Tho yaad kar Yeshu masih ko,
Besaharon ka sahara woh he sada.
De dhanyavaad, prabhu ko mere mann... (2)
Duniya ke bojh se jab jeevan ho tang,
Gar tere dosth na ho tere sang... (2)
Tho yaad kar Yeshu masih ko,
Bojh ko tere, uttha lega woh.
Tho yaad kar Yeshu masih ko,
Sabse accha dosth yeshu sang he sada.
De dhanyavaad, prabhu ko mere mann... (2)
Sunday, November 14, 2010
Yeshu Masih he woh pyaar...
God is love and Love is God...
God inspired me to pen down this song in the second week of November, 2010.
This song is based on the passage about love - 1 Corinthians chapter 13
-----------------------------------------------------
Pyaar ke kaaran woh insaan bana,
Pyaar ke kaaran woh kode khaya,
Pyaar ke kaaran woh sooli chadha,
Pyaar ke kaaran woh chhidha gaya
Yeshu masih he woh pyaar (4)
Hamare jeevan mein agar ho na pyaar,
Toh paaya kya humne uddhaar. (2)
Swarg-dooton ki bhashayein boley magar,
Na rakkhein hum pyaar agar,
Sharm se jhukh jaayenge sar.
Pyaar dhairyavaan he,
Dayalu bada he ye pyaar.
Pyaar irshya rakhtha nahin,
Ghamandi nahin he yeh pyaar.
Hamare jeevan mein... (2)
Kangaalon ko de dein saara dhan magar,
Na rakkhein hum pyaar agar,
Sharm se jhukh jaayenge sar.
Pyaar kabhi mittha nahin,
Mit jaaye ye saara sansaar.
Burai ka lekha ye rakhtha nahin,
Jhunjhlaata nahin he ye pyaar.
Hamare jeevan mein... (2)
Monday, November 8, 2010
Aao sunata hoon mein ek katha...
This narrates a story of a man - starting from his mother's womb until he finds God's grace and salvation after stumbling through the worldly ways...
---------------------------------------------------------
Aao sunata hoon mein ek katha
Ek manushya ki he ye vyatha (2)
Ma ki kok se woh leta janam,
Chhota he aur shudh uske karam(2)
Dheere Dheere woh badhne laga,
Doston ke sang aur zamane ke sang(2)
Papon ke maarg par woh chalne laga,
Sab duniya daari woh karne laga.(2)
Pehle to khub usko aaya maza,
Par jald hi paya jeevan mein saza(2)
Aankhon se aasoo bahane laga,
Dil se aahein nikalne lagi(2)
Shaitan ke chaal se woh he bilkul choor,
Aaj sacchai se woh kitni door (2)
Itne mein woh sunta he susamachar,
Pata hein jeevan mein ek naya uddhar (2)
Haathein failakar, aawaz uthakar,
Us din woh karta Ishu ko kabool(2)
Khushiyan phir aati he uske jeevan
Khul jaate hein shaitan ke har bandhan (2)
Bilkul badal jaate hein uske vichar,
Ishu ko banata woh apna aadhar (2)
Pavitra shastra woh padhne laga,
Kripa jeevan mein woh badhne laga (2)
Aaj uske gale mein Ishu ka lagaam,
Mera prabhu mera jehovah mahaan. (2)
Lo maine suna di he woh ek katha
Ek manushya ki thi yeh vyatha. (2)
Sunday, November 7, 2010
Prabhu barkat teri...
This song is a testimony for all His blessings in my life from the days of my childhood. Hail Jesus!!!
--------------------------
Prabhu barkat teri,
Rahe mujhpe sada... (2)
Karta hoon naman,
Tu mere paas aa... (2)
Hey Prabhu tript hoon,
Teri har baat se... (2)
Manna tune diya,
Har pal yaad se... (2)
Prabhu barkat teri...
Bachpan se jawaani
Ke har mod par... (2)
Thamaa tuney mujhe,
Hey dilasa diya... (2)
Prabhu barkat teri...
Sunday, October 31, 2010
Eagle ki tarah...
---------------------------------
Eagle ki tarah mein banunga STRONG,
Kabhi bhi nahin karunga kuch bhi WRONG.
Jeevan ke marg par chalunga STRAIGHT,
Kyunki mera Yeshu he sabse GREAT.
E... A... G... L... E... EAGLE...
Ghosle ko baar baar hila hila kar,
Eagle apne bacchon ko udatha HIGH HIGH.
Mein bhi Eagle sa udtha rahunga,
God ki presence mein Jhoomtha rahunga.
E... A... G... L... E... EAGLE...
Sunday, October 17, 2010
Aradhana hovey Aradhana...
God inspired me and provided the grace to write and compose this song in the 3rd week of October, 2010. All glory and honor to God...
------------------------
Aradhana hovey aradhana
Yeshu Masih ki har pal aradhana
Aradhana hovey aradhana
Mere Khudavand ki aradhana
Usney Dharti banaya,
Usi Dharti pe aaya,
Aur dharti ke logon ko Uddhar dilaya... Krus pe...
Kurbaan hokar lahu bahaya... Shaitaan...
ka sar kuchla usko haraya
Aradhana hovey aradhana... (2)
Usney Maanav ko banaya,
Manav roop mein woh aaya,
Aur manavta ke liye har dard bhi saha... Krus pe...
Kurbaan hokar lahu bahaya... Shaitaan...
ka sar kuchla usko haraya
Aradhana hovey aradhana... (2)
Usney aankhein nam kiya,
Aankhon ko drishti diya,
Aur un aankhon ke saamne hi praan arpit kiya... Krus pe...
Kurbaan hokar lahu bahaya... Shaitaan...
ka sar kuchla usko haraya
Aradhana hovey aradhana... (2)
Paanch hajaar ko khilaya,
Aur un logon ke liye jeevan ki roti ban gaya... Krus pe...
Kurbaan hokar lahu bahaya... Shaitaan...
ka sar kuchla usko haraya
Sunday, September 19, 2010
Di Changai
------------------------------------------------------------------------------------------------
Di Changaai, Di Rihaai, Di Ashish ki har bahutai (2)
Di Changaai Rihaai, Prabhu tune mujhko
Di Ashish ki bahutai, Prabhu tune mujhko (2)
Mera jad kitna kamjor tha,
Tune rooh se bhara, apni shakti mujhko di (2)
Di Changai... (2)
Mein har pal karta raha prarthna,
Tune vinti suni, aur utthar bhi diya (2)
Di Changai... (2)
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Wednesday, April 28, 2010
Twinkle Twinkle Chhote Taarey
------------------------------------------------------------------------------------------------
Twinkle Twikle Chhote taare,
Hum bacchein hein kitne pyaare (2)
Ek taara, anek taare
Jagmag karte saare taare (2)
Yeshu Dada ke hum bacche
Chhote mote par hein sacche (2)
Twinkle Twinkle Twinkle Twinkle
Dekho mummy papa aur aunty uncle (2)
Prabhu ka rajya, hum jaiso ka
Moh nahin hamein paiso ka (2)
Yeshu Dada ke hum bacche
Chhote mote par hein sacche (2)
Welcome Welcome Welcome Welcome
Aao Bhaiya Didi, Saare friends handsome (2)